|
|
Brijinder "Sagar"ka Kalaam
| Author |
Message |
|
Brijinder
New Born Fropkian
Joined: Tue May 20, 2008 5:30 am Posts: 9
|
 Re: Brijinder"Sagar"ka Kalaam
Lambi kaali raat
Woh kahkahoN ki Masti KahaN gayee woh hasti? Woh khwaaboN pay jaadu karna Aur yaqeeN main badalanaa Sabaa say sur milanaa Tau kabhi taaroN say gungunanaa
Jab hosh nay aaNk kholi Afkaar say ki macholi Ab tu bhi udaas kyuoN hai Tanhai ka paas kyuoN hai
Maanaa shub nay ziNdgi pay teri Lagaai lambi pheri Magar raushni kay woh daany Jiskay tujh main haiN khazaanay Bo day is kaali raat kay seenay par
--------------------
|
| Wed Jun 11, 2008 4:34 am |
|
 |
|
|
|
 |
|
Brijinder
New Born Fropkian
Joined: Tue May 20, 2008 5:30 am Posts: 9
|
 Re: Brijinder"Sagar"ka Kalaam
Hadd-e-fikr say aagay
Swaal haiN jwaab haiN Khwaab khwaab khwaab haiN Halaal na haraam hai Afqaar kay saraab haiN
Hyaat la-jwaab hai Aur sabko na-gwaar hai Hyaat la-hadood hai Par rooh girftaar hai
Hyaat khud maqaam hai Aur aadmi khwaar hai
Khwaab bhi yaqeen haiN Yaqeen bhi to khwaab haiN Swaal haiN jwaab haiN Khwaab khwaab khwaab haiN ------------------
Brijinder "Sagar" Auckland, New Zealand
----------------------
|
| Thu Jun 19, 2008 2:32 am |
|
 |
|
Brijinder
New Born Fropkian
Joined: Tue May 20, 2008 5:30 am Posts: 9
|
 Re: Brijinder"Sagar"ka Kalaam
Bekhudi
Ik mauj-e-samndar-e-kaynaat hai zindagi Khud hi jawaab aur swaalaat hai zindagi
Khud ki talaash yeh safar-e-hyaat Abhi din ki aarzu ab justju-e- raat
Kuch jaani anjaani raahon pay UmroN kay qaafilay Ghardish-e-doraaN main pinha manzilaiN Kabhi manzil ka pa laina Phir us say ukta jaanaa Yeh shauq-e-manzil nahi Shayud jeenay ka bus bahaanaa
Jab bar gayi bahut tanhai Banaya phulsupha-e-khudai But banayay banai azaanaiN Phir sajaai rishton ki dukaanaiN
Jab jab bhi khud say uktaiya insaaN Daur-e-wehshat main laut aayaa insaaN
Is hajoom-e-zindagi main tanha hai har koi Bus girafat-e-khwaab-e-bahaanaa hai har koi
Ik bhatkan umr kay jaNgloN main Liyay bekasi-e-namaloom diloN main Har koi jiyay jaataa hai Dard-o-masarrat kay ajab saNgam ko Unwaan-e-zindgai diyay jaataa hai
-------- Meanings: mauj-e-samanadar-e-kaynaat-wave in the sea of universe,ghardish-e-dauraN-revolution(movement of zamana,Pinha-chupa hua,Ghirfat-e-khwaab-e-bahaanaa--caught in the web of deception
|
| Mon Jun 30, 2008 2:32 am |
|
 |
|
Brijinder
New Born Fropkian
Joined: Tue May 20, 2008 5:30 am Posts: 9
|
 Re: Brijinder"Sagar"ka Kalaam
Nietzsche
Siyaah hai raat bahut sar chupayay baitha hai mahtaab kahiN aasmaanoN main Woh door door tak haiN afsurda-nasheeN sitaaroN kay lashkar KahkashaN Saari sharmsaar si huee firti hai
Woh pashymaN sa khra hai Tamm_dun ki na-deeda aankhoN ka swaal KhwaaboN pay jhapat rahay haiN samaajoN kay uqaab Hyaat roti hai zaar zaar Taareekh junooN ka sung liyay hawaaoN ko soongha karti hai Phir say hai raunaq-e-jashn ujray huay zehanoN main Aaj phir qatl hua hai ik bedaar insaaN
Woh khaloos-o-ikhlaaq ka rasiya Woh aashiq khird ki baharoN ka Mar raha hai who luta kay aab-i-zeesat apna Aur kehkehay lagaataa hai kargas raigzaaroN ka
Sadaaqat phir marsiakhwa hai aaj Qaaynaat phir say Siyaah hai aaj
Meanings: 1.Afsurda-nasheeN- Shok- magn 2.KehkeshaN-aakaashganga (milky way) 3.PeshaymaaN-sharminda 4.Tamdd_un-sabhiyata (civilization) 5.Hyaat-jeewan 6.Bedaar-awakened 7.Khloos-o-ikhlaaq- intensity and truth 8.Khirad-Aqal (intellect) 9.Aaab-I-zeesat-water of life 10.Kargas-vulture 11.Sadaaqat-truth 12.Marsiyakhwaah-in grief 13.Qaaynaat-universe
|
| Wed Jul 09, 2008 2:33 am |
|
 |
|
|