Post new topic Reply to topic  [ 9 posts ]  Go to page 1, 2  Next
 Brijinder "Sagar"ka Kalaam 
Author Message
New Born Fropkian

Joined: Tue May 20, 2008 5:30 am
Posts: 9
Reply with quote
Post  Brijinder "Sagar"ka Kalaam
Ishq


Ishq junooN bhi hai sanjeedgi bhi hai
Yeh hawis bhi hai pakeezgi bhi hai
Shokhi bhi hai ishq-
Baanki adaaoN pe lutnay ka naam bhi hai
Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh bhi-
Zindagi ko samjhnay ka naam bhi hai
Ishq masroofiat bhi fursat bhi hai
Ishq qurbat bhi aur furqat bhi hai
Ishq rif_at bhi aur wus_at bhi hai
Aur ishq kabhi faqt chahat bhi hai
Yeh masoomiyat bhi rikhshandgi bhi hai
Bosa hai to kabhi bandgi bhi hai
ZamiN bhi hai aur aasmaN bhi hai
Magar ufaq ka ismay nishaN bhi hai
Kabhi bistar ki salwaton sa-
To kabhi mandir ki moortoN sa
Kabhi uryaanioN ka shaida
To kabhi Meera-o-Mariam ki soortoN sa
Ishq rog bhi magar mudawa bhi hai
Ishq parastish bhi magar da_awa bhi hai

RishtoN say sada juda hai ishq
Isliyay hi bana khuda hai ishq
---------------------
Meaning:
Rooh-e-irtqa-e-dil-o-dimagh -ehsaas aur khyaaolon ki tarakki ki aatma
furqat-Judai
rif_at -uNchai
wus_at -vishaalta
rikhshandgi- masti
ufaq -Horizon
uryaanioN-nudityka kalaam


Tue May 20, 2008 5:37 am
Profile
New Born Fropkian

Joined: Tue May 20, 2008 5:30 am
Posts: 9
Reply with quote
Post  Re: Brijinder"Sagar"ka Kalaam
ISHQ-2

AhsaasoN ki ghurbat ka muqaam hai
Ishq jab benoor perstish ka sabub ban jayay
Hawas ki hud say aagay jiska koi da_ava nahiN
Us ahsaas ka shumaar zikr-e-muhabbat maiN kyuN aayay

Ishq nighaahaiN milnaiN say hi nahiN pa laita apna wajood
Bahut mushkil hotay haiN in raahoN kay usool
Koi jab ban pehchaan apnay khyaaloN ki milay
Jab lehraayay kisi chehray maiN apnay ahsaaoN ki pehnaai
Maaini ishq kay tab jalwagar ho kay miltay haiN
JismoN ki dosti phir bus hawas ki bunyaad nahiN
Muhabbat ka kudrati sabub ho kay milti hai

Woh jo kehtay haiN ki jazbaat kisi usool ka haamil nahiN
Khumaar-e-dast-junooN tak say bus wabasta haiN
Un past roohoN say jo na hui tai ishq ki bulaNdiaN
Hawas-o-benoor parstish ko ishq ka paikar diya

Aur sadioN say yahi unka beemaar paimaanaa
Ishq bun kay reh gaya bus ik harf-e-mujrmanaa
Utho tehzeeb-e-nau kay humraaho
Ishq ko phir say khoya maayni lauta do
Aur duniya ko yeh samjha do
Ki-
Jazbaat ka hospur tarjuma hai Ishq
Isliyay hai banaa khuda hai ishq
-----------------------------------------

Meaning:
Benoor parstish-Blind devotion, Pehnaai-Vishaalta(bigness)
Khumaar-e-dasht-junooN- Diwaangi kay jaNgal ka nashaa
Harf-e-mujrmanaa- apraadhpoorn shabd, Tehzeeb-e-nau-new world,Hoshpur-conscious


Fri May 23, 2008 3:28 am
Profile
New Born Fropkian

Joined: Tue May 20, 2008 5:30 am
Posts: 9
Reply with quote
Post  Re: Brijinder"Sagar"ka Kalaam
Twaayuf

Tu bani kisi ghar ki zeenat
Main kisi kothay ki numaish
Tera khwaab hua haqeeqat
Rahi jhooti meri khwaahish

Aurat mujh main bhi thi,haaN,dafnaa di thi ziNda
Meri kahaani ki insaaniyat bhi ho jaayay sharmiNda

Meray khwaaboN ko sool-e-wehshat chraayaa teray ghar kay mardoN nay
Meri majboori ko tamaashaa banaayaa teray ghar kay mardoN nay


MaiNnay bhi tha muhabbat ka paak chaman basaayaa
Meri hasrat bhi thi ki ho koi ik mera apnaa sa saayaa
Magar Pait ki bhookh kay sun kar naalay
Waheshi aankhoN ka sunharaa bharam khaayaa

Lay gayaa yeh mard tera dilaasaa day kar basti-e-ghumnaam main
Phir aayaay humdard aur kitnay,aashnaa karaa gayay is muqaam say

Ab har raat ki dulhan hooN
Har shub nayaa humbistar hai
Yeh to bus jaanay hai dil-e-bismil mera
Ki roz lubraiz-e- zehar nayaa nashtar hai

Tu nasoor-e-tehzeeb kahay mujh ko,main teri hi behan hooN
Bus tu rahi kismet ki ameer,main wehshat ki rehan hooN

Daikhay jo aurat mujhmaiN
To tu sharmiNda hogi
Aura a jaayay gar yeh jazbaa sub main
To shaayud insaaniyut zinda hogi

-------------------------


Wed May 28, 2008 1:22 pm
Profile
New Born Fropkian

Joined: Tue May 20, 2008 5:30 am
Posts: 9
Reply with quote
Post  Re: Brijinder"Sagar"ka Kalaam
Wasl kay woh lamhay

Meray kaandhay pay apna sar rakhay
Band aankhoN maiN kai khwaab liayay
Larazaty huyay lub aaNchal maiN chupayay
Aur jazboN kay sad-sailaab liayay

Meri kameez kay buttonoN say khailti ungliaN teri
Chayar rahi ho jaisay kisi raag ki dhun
Teray aarizoN pay har dum badlatay taassur
Rahi ho kudrat jaisay koi jaadu sa bun

Khaloos itna ki paimaana-e-shakhsiyat jayay chalak
Saadhgi aisi ki milay usmaiN Mariam ki jhalak
Lutaanay lago jab tum apni adaaiN nasheeli
Utar aayay Menaka jaisay chor kar apna falak

Khusboo teray badan ki lagay sharaab mujhay
TujhmaiN mil jayay har swaal ka jwaab mujhay
Aur jab pyaar say bulao tum mujhko "Sonu"
koi Mil jayay jaisay azeem khitaab mujhay
------------------------------

Meanings: Taassur--Bhaav,Khaloos-warmth,paimana-e-shakhsiyat-personality ka jaam,Menka-Mytholigical charactor known for her seductive powers,Falak-sky, azeem-bahut bara,Khitaab-upadhi like padam shri etc.


Tue Jun 03, 2008 1:14 am
Profile
New Born Fropkian

Joined: Tue May 20, 2008 5:30 am
Posts: 9
Reply with quote
Post  Re: Brijinder"Sagar"ka Kalaam
18 saal pehlay likhi eik nazm lay kar haazir hua hooN.Umeed hai pasaNd aayaygi.

APNAY BATAY KAY NAAM

NanhaiN pairoN pay dorta bachpan
HaNsta gaata muskurata bachpan

Teri kilkaarioN main sabaaN kay jhoNkay
Teri shokhi main bahaaroN kay aNdaaz
Teri udaasi say tarap jaayay kahkashaaN saari
Teri tutlahat main raagoN ka riyaaz

Koi Suqraat bhi kya teray zauq-e-talab kay aagay
Teri masti ki raqs maiN ho jaisay hyaat
Teray laboN pay khailti hai aisay shffaaf haNsi
Ki sharma jayay issay parioN ki bhi zaat

Tu hai meray jism-o-rooh ka kalaam
Teri ghardish main meri hasti ka nizaam
Tujhsay Hai masrrat kay phir raushan chiraagh
Teray irtiqa main nihaaN meray teerath-o-dhaam

Aur Ai meray lakht-e-jigar
Yeh hai khud say ahad mera
Ki na ban jayay baar tera
Yeh tamaam pyaar mera
Aur parwaazoN main teri
Na ho meri tamnnaoN ka beseraa
__________________
Meanings:
Riyaaz-abhyaas(excercise),Zauq-e-talab-Quest to know
Raqs-dance, Saffaf-swach(clear,pure), Kalaam-rachna
Ghardish-parikrama(revolve),Nizaam-Vayvashta,bandobast
Massarat-khusi, Irtiqa-tarraki,development,NihaaN-nihit,chupa hua
Baar:bhaar


Sun Jun 08, 2008 3:30 am
Profile
Display posts from previous:  Sort by  
Post new topic Reply to topic  [ 9 posts ]  Go to page 1, 2  Next

 Similar topics 
 Similar topics   Forum   Author   Replies 
Mariah Carey and Nick Cannon: "Precious" Promoters
Celebrity Gossips
Saurabh
16
Miley Cyrus Talks "Sex and the City" Sequel
Celebrity Gossips
Saurabh
6
Jennifer Aniston Undergarment Visible from "The Bounty" Set
Hot Wallpapers
Rahul
4
Carmen Electra Premieres "Oy Vey My Son is Gay"
Celebrity Gossips
Saurabh
8
Kristen Bell Premieres "Astro Boy"
Celebrity Gossips
Saurabh
12


Jump to: