Jheel par paani barasta hai,hamaarey desh mein, Kheyt paani ko tarasta hai,hamaarey desh mein, Zindgee ka haal khasta hai,haamarey desh mein, Insaan ka khoon sasta hai,haamarey desh mein, Ab leedron,afsaron aur paagalon ko chor kar, Kaun khul kar hasta hai,haamarey desh mein?