Koi deewana Kehta hai koi pagal samajhta hai, Magar Dharti ki bechani ko Bas badal samajhta hai. Mai tujhse dur kaysa hu tu mujhse dur kaysi hai, Yeh tera dil samajhta hai ya mera dil samajhta hai.
(jab pyaar ho to uski gahrai /uchai itni honi chahiye)
Ke Mohabat ek Ehasaso ki Pawan si kahani hai, Kabhi kabira deewana tha kabhi meera deewani hai. Yaha sab log kehta hai meri ankho me ansu hai, Jo tu samjhe to moti hai jo na samjhe to pani hai.
(aur agar gehre pyaar ke baad bewafai hoti hai ko kya lagta hai)
Samandar peer ka andar magar mai ro nahi sakta, Yeh ansu pyaar ka moti hai isko kho nahi sakta. Meri chata ko dulhan tu bana lena magar sun le, Jo mera ho nahi paya wo tera ho nahi sakta.
(aur har koi kehta hai ke pyaar bhagwan/khuda ka ek nayab tofaha hai magar koi kare to kya dikat ati hai)
Bhramar koi kumadni par machal baitha to hungama, Humare dil mai koi khwab jo pal baitha to hungama. abhi tak dub kar sunte the har kissa mohabat ka, Mai kisse ko hakikat mai badal baitha to hungama.