teri koshish teri tadbeer hona chahta hoon main tere hath ki tahreer hona chahta hoon
tu mere paas aye or palat k na jai main tere paon ki zanjeer hona chahta hoon mujeh adat nahi ab doosron k mashwaron ki main khud bhi sahib-e-tadbeer hona chahta hoon
azal se khawab ban kar teri aankhon main raha hoon ab main sharminda-e- tabeer hona chahta hoon main is liay masmaar khud ko kar raha hoon k tere hath se tameer hona chahta hoon........ .!